FAQ
Aksar poochay janay wale sawaalat
Agar aap ka sawaal yahan nahi hai to WhatsApp par message karein.
Charges kitne hain?
Service fee 20% hai aur request form par khud calculate ho jati hai. Koi hidden ya recurring charge nahi hai.
Kitna time lagta hai?
Har case alag hota hai. Request confirm hone par aap ko realistic expected timeline pehle bata di jati hai — aam tor par 24–72 ghante.
Kya aap kisi outcome ki guarantee dete hain?
Nahi. Har loan app ki apni policy hoti hai, is liye hum guarantee ka dawa nahi karte. Hum process, coordination aur updates ki zimmedari lete hain.
Meri details kaise handle hoti hain?
Aap ki di gayi maloomat sirf aap ki request process karne ke liye use hoti hai. Hum chat par kabhi OTP, password ya bank PIN nahi maangte aur aap ka data kisi third party ko bechte nahi.
Main apni request ka status kaise dekhun?
Track page par apna Request ID aur mobile number daal kar status kabhi bhi check kar sakte hain.
Kya main baad mein request cancel kar sakta hoon?
Ji haan, kaam shuru hone se pehle cancel karne par fee wapas ho jati hai. Tafseel Refund & Cancellation page par mojood hai.
Meri app list mein nahi hai, to?
WhatsApp par app ka naam aur apna case likh kar bhejein — hum bata denge ke us case mein madad mumkin hai ya nahi.